har shab-e-gham ki sahar bhi hogi zindagi hai to basar bhi hogi wo zamana bhi kabhi aaega dil ki jab dil ko khabar bhi hogi dard kam-kam nahin afzun hoga chashm pur-nam nahin tar bhi hogi aatish-e-ishq jise kahte hain wo idhar hai to udhar bhi hogi zulm hi zulm na hoga aakhir pyar ki ek nazar bhi hogi main khata-kar-e-nazar hun lekin ye khata bar-e-digar bhi hogi kitne wo ahl-e-nazar hain jin ki husn-e-mani pe nazar bhi hogi jaane kya haal hamara hoga jab mohabbat ki nazar bhi hogi hum bhi honge tera gham bhi hoga shab bhi aaegi sahar bhi hogi jalwa-e-ghuncha-o-gul bhi hoga shokhi-e-barq-o-sharar bhi hogi azm bebak safar bhi hoga rah pur-khauf-o-khatar bhi hogi har aziyyat hi muqaddar hai agar dasht to dasht hai ghar bhi hogi bach rahi aaj hawadis se agar har kali kal gul-e-tar bhi hogi ranj rahat mein badal jaega khair dar-parda-e-shar bhi hogi kuchh sitare bhi darakhshan honge kuchh meri gard-e-safar bhi hogi