farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha wo mujh se intihai khush khafa hone se pahle tha kiya karte the baaten zindagi-bhar sath dene ki magar ye hausla hum mein juda hone se pahle tha haqiqat se khayal achchha hai bedari se khwab achchha tasawwur mein wo kaisa samna hone se pahle tha agar madum ko maujud kahne mein tammul hai to jo kuchh bhi yahan hai aaj kya hone se pahle tha kisi bichhde hue ka laut aana ghair-mumkin hai mujhe bhi ye guman ek tajraba hone se pahle tha 'shuur' is se hamein kya intiha ke baad kya hoga bahut hoga to wo jo ibtida hone se pahle tha