har shab ek hi khwab se uljha rahta hun main dariya hun phir bhi pyasa rahta hun din ki fasl kate to sham dhale aksar khwabon ki diwar se chipka rahta hun hawa ki zad pe main ek aisa suraj hun sham se hi raste pe rakkha rahta hun chalte chalte dariya jab thak jate hain yaad ke gahre sagar mein duba rahta hun soch ki galiyon mein aawara phirta hua ghar ke darwaze par tanha rahta hun shayad koi mujhe jagane aa jae is khwahish mein pahron soya rahta hun raushniyon ka ghar bhi nahin milta 'makhdum' suraj ka saya hun bhaga rahta hun