doston mein waqai ye bahs bhi aksar hui haar kis ke sar hui hai jit kis ke sar hui zehn be-paikar hua aur aql be-manzar hui dil to patthar ho chuka tha aankh bhi patthar hui log kahte hain ki qadr-e-mushtarak koi nahin is kharabe mein to sab ki zindagi dubhar hui roz-o-shab akhbar ki khabron se bahlata hun ji ye samajhta hun ki ab to raushni ghar ghar hui zehn mein aane lage phir na-pasandida khayal wo kahani kaise bhulen naqsh jo dil par hui dukh-bhari aawaz sunta hun to hota hun udas ye khata thahri to mujh se ye khata aksar hui ek zamane se to bas 'iqbaal' apni zindagi dard ka bistar hui ehsas ki chadar hui