har shai hai kaenat ki apni jagah aham

har shai hai kaenat ki apni jagah aham
bartar koi kisi se na koi kisi se kam

samjhe raza khuda ki to aankhen hui hain nam
zahir mein jo saza thi haqiqat mein tha karam

ghazi bada hai koi na chhota ghazal-sara
apni jagah pe tegh hai apni jagah qalam

is khak-dan ko dosto kaise kahen chaman
go phul hain kahin kahin kante qadam qadam

suraj dhale ki chand khile hum ko kya khabar
guzre jo sham-e-gham to phir aae shab-e-alam

de ke 'sada' khuda mere tu rokna mujhe
gar rah-e-mustaqim se bhatken mere qadam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close