har shaKHs apne aap mein simTa hua mila

har shakhs apne aap mein simta hua mila
har ek sochta hai mujhe kis se kya mila

is shahr mein guzarta ek umr aur main
wo to ye khairiyat hui banda bhala mila

ya to raha hun khud se hi mahw-e-kalam main
ya phir mujhi sa koi mujhe dusra mila

aaise meri sada ne taaqub kiya mera
jaise main khud ko chhod ke auron se ja mila

kuchh ajnabi se chehron ko kal dekhte hue
yaadon mein aisa kho sa gaya khud se ja mila

manga jo ek bhid ne kal mujh se rasta
dekha to main hi rah mein bikhra hua mila

kyun 'talkh' tujh ko kaisa laga waqt ka chalan
andar se koi ajnabi jab tutta mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close