nil-gagan par surKH parindon ki Daron ke sang

nil-gagan par surkh parindon ki daron ke sang
badli ban kar udti jae meri shokh umang

komal kaliyon jaisa mera pak pawitra sarir
pawan ke chhune se ud jata hai chehre ka rang

sapnon ki dali par chamka ek sunahra pat
chadhta suraj dekh ke jis ka rup hua hai dang

jalte bujhte phulon se utri khushbu ki rakh
dho kar aag jo us ne dekha angaron ka rang

tane de kar log lagate hain kyun aag mein aag
basti wale kyun karte hain bairagan ko tang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close