har shakhs bad-hawas khabar ke sabab se tha kashti mein intishaar bhanwar ke sabab se tha aankhen badan baghair aur aankhon mein ek khwab mahrumi-e-maal safar ke sabab se tha binai ke ghubar se manzar mein dhul thi wo aaina sarab nazar ke sabab se tha itna qalil bosa ki ehsas-e-lams bhi khud-sakhta nashe ke asar ke sabab se tha warna sadak ki med thaharti qusur-war sad imtinan hadisa dar ke sabab se tha khidki se raushni ki wazahat pe ye khula diwar ka jawaz to ghar ke sabab se tha mitti ke martabe ka khula e'tiraf tha mera zamin ko bosa shajar ke sabab se tha