har shaKHs ko aise dekhta hun

har shakhs ko aise dekhta hun
jaise kahin dur ja raha hun

dekhi hi nahin khizan ki surat
kis gulshan-e-shauq ki hawa hun

khud apni nigah se hun ru-posh
aaina hun jahan-numa hun

be-nur hui hain jab se aankhen
aaine talash kar raha hun

na-qadr-shanas jauhari ko
rahon mein pada hua mila hun

jab raat ki zulf bhigti hai
sannate ki tarah gunjta hun

is daur-e-khizan-nasib mein bhi
kaliyan si khila khila gaya hun

aankhon mein wahshaten rachi hain
khwabon mein bhi khak chhanta hun

hai chehra jo dagh dagh apna
har aaine se khafa khafa hun

talwar pe raqs ka natija
jab panw kate to sochta hun

parda-e-saba na khauf-e-sarsar
khakistar-e-yas par khila hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close