har shakhs pareshan hai ghabraya hua hai mahtab badi der se gahnaya hua hai hai koi sakhi is ki taraf dekhne wala ye hath badi der se phailaya hua hai hissa hai kisi aur ka is kar-e-ziyan mein sarmaya kisi aur ka lagwaya hua hai sanpon mein asa phenk ke ab mahw-e-dua hun malum hai dimak ne use khaya hua hai duniya ke bujhane se bujhi hai na bujhegi is aag ko taqdir ne dahkaya hua hai kya dhup hai jo abr ke sine se lagi hai sahra bhi use dekh ke sharmaya hua hai israr na kar mere kharabe se chala ja mujh par kisi aaseb ka dil aaya hua hai tu khwab-e-digar hai teri tadfin kahan ho dil mein to kisi aur ko dafnaya hua hai