harf apne hi maani ki tarah hota hai pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai main bhi rukta hun magar reg-e-rawan ki surat mera thahrao rawani ki tarah hota hai tere jate hi main shiknon se na bhar jaun kahin kyun juda mujh se jawani ki tarah hota hai jism thakta nahin chalne se ki wahshat ka safar khwab mein naql-e-makani ki tarah hota hai chand dhalta hai to us ka bhi mujhe dukh 'faisal' kisi gum-gashta nishani ki tarah hota hai