har sham dilati hai use yaad hamari itni to hawa karti hai imdad hamari kuchh hain bhi agar hum to giraftar hain apne zanjir nazar aati hai aazad hamari ye shahr nazar aata hai ham-zad hamara aur gard nazar aati hai fariyaad hamari ye rah bata sakti hai hum kaun hain kya hain ye dhul suna sakti hai rudad hamari hum gosha-nashinon se hai manus kuchh aisi jaise ki ye tanhai ho aulad hamari achchha hai ki diwar ke sae se rahen dur pad jae na diwar pe uftad hamari