kuchh ishaare wo sar-e-bazm jo kar jate hain nawak-e-naz kaleje mein utar jate hain ahl-e-dil rah-e-adam se bhi guzar jate hain nam-lewa tere be-khauf-o-khatar jate hain safar-e-zist hua khatm na socha lekin hum ko jaana hai kahan aur kidhar jate hain nigah-e-lutf mein hai uqda-kushai muzmar kaam bigde hue bandon ke sanwar jate hain qabil-e-did hai mahshar mein khajalat un ki do qadam chalte hain rukte hain thahar jate hain khub badnam kiya apni siyahkari ne ungliyan uthti hain mahshar mein jidhar jate hain aankh khul jati hai chaunk uthte hain sone wale wo dabe panw jo turbat se guzar jate hain chaaragar hajat-e-marham nahin un ko aslan zakhm-e-dil lazzat-e-isar se bhar jate hain aah-e-sozan se jo nikle the sitare shab-e-gham ban ke tare wahi gardun pe bikhar jate hain aaj tak laut ke aaya na jahan se koi ham-safiran-e-jahan hum bhi udhar jate hain bahr-e-gham mein wahi phanste hain jo hote hain giran jo subuk hote hain wo par utar jate hain kushta-e-naz tera kyun na zamin par lote dagh-e-dil jitne hain is tarah wo bhar jate hain