har sitam sah ke muskura dena main ne sikha hai gham bhula dena ungliyan jo uthate hain sab par aaina un ko bhi dikha dena hai mohabbat ki aarzu jin ko un ko mera pata bata dena un ko aata hai kya siwa is ke haal-e-dil sunna muskura dena ai 'ana' hai yahi mera shewa apne dushman ko bhi dua dena