jab kabhi husn ki pakiza kahani likhna shyam ke ishq mein mera ko diwani likhna tum kisi phul ko murjhate hue dekhna jab us ghadi baith ke anjam-e-jawani likhna zindagi jis ke tasawwur se sanwar jati hai mere hisse mein wahi sham suhani likhna apne maqsad ke liye ahl-e-siyasat ne yahan kis tarah khoi buzurgon ki nishani likhna is bahane se utar jaega ye dil ka bojh apna har qissa-e-gham apni zabani likhna zikr jab bhi chhide tahzib ka duniya mein 'ana' is qalam se koi tarikh purani likhna