har-su jahan mein sham o sahar dhundte hain hum jo dil mein ghar kare wo nazar dhundte hain hum in bastiyon ko phunk ke khud apne hath se apne nagar mein apna wahi ghar dhundte hain hum juz reg-zar kuchh bhi nahin ta-hadd-e-nigah sahra mein saya-dar shajar dhundte hain hum taslim hai ki judta nahin hai shikasta dil phir bhi dukan-e-aina-gar dhundte hain hum jis ki ada ada pe ho insaniyat ko naz mil jae kash aisa bashar dhundte hain hum kuchh imtiyaz-e-mazhab-o-millat nahin hamein ek mo'tabar rafiq-e-safar dhundte hain hum is daur mein jo fan ko hamare parakh sake wo sahab-e-zaban-o-nazar dhundte hain hum hath aaega na kuchh bhi ba-juz sang-e-be-bisat uthle samundaron mein guhar dhundte hain hum 'ajiz' talash-e-shama mein parwane mahw hain hairat unhen hai un ko agar dhundte hain hum