har talabgar ko mehnat ka sila milta hai but hain kya chiz ki dhundhe se khuda milta hai waqt par kaam na aaya dil-e-nashad kabhi tut kar ye bhi usi shokh se ja milta hai wo jo inkar bhi karte hain to kis naz ke sath mujh ko milne mein na milne ka maza milta hai ye kudurat ye adawat ye jafa khub nahin mujh ko mitti mein mila kar tumhein kya milta hai 'nuh' hum ko nazar aaya na yahan but bhi koi log kahte the ki kabe mein khuda milta hai