hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya wo khud pila rahe the main lahra ke pi gaya tauba ke tutne ka bhi kuchh kuchh malal tha tham tham ke soch soch ke sharma ke pi gaya saghar-ba-dast baithi rahi meri aarzu saqi shafaq se jam ko takra ke pi gaya wo dushmanon ke tanz ko thukra ke pi gae main doston ke ghaiz ko bhadka ke pi gaya sadha mutalibaat ke baad ek jam-e-talkh duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pi gaya sau bar laghzishon ki qasam kha ke chhod di sau bar chhodne ki qasam kha ke pi gaya pita kahan tha subh-e-azal main bhala 'adam' saqi ke e'tibar pe lahra ke pi gaya