har tamashai faqat sahil se manzar dekhta kaun dariya ko ulatta kaun gauhar dekhta wo to duniya ko meri diwangi khush aa gai tere hathon mein wagarna pahla patthar dekhta aankh mein aansu jude the par sada tujh ko na di is tawaqqoa par ki shayad tu palat kar dekhta meri qismat ki lakiren mere hathon mein na thin tere mathe par koi mera muqaddar dekhta zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah kis ko itna hausla tha kaun ji kar dekhta dubne wala tha aur sahil pe chehron ka hujum pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta tu bhi dil ko ek khun ki bund samjha hai 'faraaz' aankh agar hoti to qatre mein samundar dekhta