talash phir koi khoi si rahguzar mein thi

talash phir koi khoi si rahguzar mein thi
phir aaj ek sham subh ke intizar mein thi

wajud garche hawaon ki zad pe tha hamara
charagh ki lau hatheliyon ke hisar mein thi

nigah ke sare ikhtiyaraat salb se the
kashish na jaane wo kaun si kharzar mein thi

umid se thin yahan wahan tak tamam aankhen
talab barahna visal ke kar-zar mein thi

use musawwir ne raushni se badan kiya hai
andheri khushbu jo dida-e-khwab-kar mein thi

waqar qaem na rakh saki dusre badan par
ana bahut mo'atabar thi jab khaksar mein thi

khayal 'parwez' daera band ho gaya tha
yaqin si koi chiz qurb-o-jawar mein thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close