har tar-e-nafas khar hai malum nahin kyun aasan bhi dushwar hai malum nahin kyun sau bar marun aur jiyun tab unhen paun dil is pe bhi tayyar hai malum nahin kyun sau tarah ke aaram mayassar sahi lekin dil jine se bezar hai malum nahin kyun jo lazzati-e-jaur-o-jafa tha usi dil par ek shokh-nazar bar hai malum nahin kyun ek bar mili un se nazar pi nahin koi phir bahki si raftar hai malum nahin kyun sau jaan se hum jis pe fida hote hain din-raat wo darpai-e-azar hai malum nahin kyun 'jami' wo mukhatab hain magar arz-e-tamanna phir bhi mujhe dushwar hai malum nahin kyun