jab se mere dil mein aa kar ishq ka thana hua hosh-o-sabr-o-aql-o-din kya sab se begana hua dil hamara khana-e-allah gar mashhur tha so buton ke ishq mein ab ye bhi but-khana hua qissa-e-farhad-o-majnun raat din padhte the hum so to wo mazi pada ab apna afsana hua raat din ye soch rahta hai mere dal ke tain ai khuda yan se wo ja kar kis ka hum khana hua kya haqiqat puchhta hai meri tanhai ki tu jab ki mere pas se pyare tera jaana hua bhuk pyas aur nind sab jati rahi ai jaan-e-man balki in logon mein main mashhur diwana hua shaikh ji aaya na wade par to ab 'asif' ka yar tum to khush hoge tumhaara hi jo farmana hua