har taraf ek bebasi si in dinon manzar mein hai

har taraf ek bebasi si in dinon manzar mein hai
gardish-e-dauran thami hai aur insan ghar mein hai

dekhna us ka shifa hai us ka chhuna zindagi
baat ye kaisi anokhi mere chaaragar mein hai

mausamon ki rut nai hai tum jo thahre ho yahan
yani dhadkan si har ek kankar mein aur patthar mein hai

nama-e-amal mein guftar se badh kar bhi kuchh
pesh kar ghafil amal koi agar daftar mein hai

jis ko pi kar phir kisi bhi jam ki khwahish na ho
bandagi ka wo nasha iqbaal ke saghar mein hai

'sahil'-e-dariya pe chhalka tha jo teri yaad mein
mere is aansu ki tabani har ek gauhar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close