har taraf hadd-e-nazar tak silsila pani ka hai kya kahen sahil se koi rabta pani ka hai khushk rut mein is jagah hum ne banaya tha makan ye nahin malum tha ye rasta pani ka hai aag si garmi agar tere badan mein hai to ho dekh mere khun mein bhi walwala pani ka hai ek sohni hi nahin dubi meri basti mein tu har mohabbat ka muqaddar saneha pani ka hai be-gunah bhi dub jate hain gunahgaron ke sath shahr ke qanun mein ye zabta pani ka hai jaanta hun kyun tumhaare bagh mein khilte hain phul baat mehnat ki nahin ye mojaza pani ka hai ashk bahte bhi nahin 'asim' thaharte bhi nahin kya masafat hai ye kaisa qafila pani ka hai