ab ke mile to hum donon hi khud ki tujh se baat karenge khud ki khud se baaten kar ke hum donon ukta bhi chuke hain tere khayalon mein dube to duniya sari ghum li hum ne dar pe ek dastak jo hui to hum ko ye malum hua ke kab se hum ghar aa bhi chuke hai raaton ko jagte rahna bhi khwabon se bachte rahna bhi aankhon ki majburi hogi aankhon ke qisse se hum to apni aankh bacha bhi chuke hain is mausam ka kya hai parson narson ye bhi chal hi dega ek gila bas tum se hai ki us mausam mein aae ho jab khud ko hum bahla bhi chuke hain ghar ke har kone se ab bhi mahak hamari chunte hoge yaadon ke pashmina se tum kal ko pal-pal bunte hoge lekin sach to ye hai sathi hum to kab ke ja bhi chuke hain