har taraf jab dhuan dhuan hoga kya khabar phir koi kahan hoga gar nahin ye jahan sapnon ka kya koi dusra jahan hoga kat gae hain safar mein kitne baras kya kahin apna bhi makan hoga zindagi jab na hogi tab ai dost main kahan aur tu kahan hoga zindagi se raha jo badh ke aziz gham wo lafzon mein kya bayan hoga dast-e-virani aur tanhai bas-ki apna yahi nishan hoga puchhte hain hasin use shab-o-roz 'raj shayad abhi jawan hoga