hasin aankhon mein palte hue se dar dekhe ki hum ne jalte hue titliyon ke par dekhe bala ki dhund thi kuchh bhi nazar na aata tha andhere phailte hum ne nagar nagar dekhe sadaf ki baat hai kya wo guhar bhi paega utar ke gahre samundar mein wo agar dekhe wo aag kya thi jo bhadki thi kyon khuda jaane ki hum ne jalte hue bastiyon mein ghar dekhe na jaanen dard hamara na dekhen zakhm-e-jigar ajib tarah ke kuchh hum ne chaaragar dekhe kinare kashti ko le jae nakhuda kyunkar ki hum ne lahron mein uthte hue bhanwar dekhe wo khwab kitna bhayanak tha chikh uttha main lahu mein hath jo apne hi tar-ba-tar dekhe rah-e-hayat mein jo apna sath chhod gae kuchh is tarah ke bhi ai 'raj ham-safar dekhe