har taraf karb ke manzar hain jidhar jata hun lamha lamha kabhi jita kabhi mar jata hun bad-guman aisa hua hun main farebon se tere sach bhi jab samne aata hai to dar jata hun intiqaman ye rawish main ne bhi apnai hai jab mukarta hai koi main bhi mukar jata hun dhup sah lene ki aadat ne ye jurat bakhshi sar pe suraj ko uthae mein guzar jata hun aaina ban gaya hamraaz 'niyazi' jab se apne chehre ko main khud dekh ke dar jata hun