dekhi jo zulf-e-yar tabiat sambhal gai aai hui bala mere sar par se tal gai puchha agar kisi ne mera aa ke haal-e-dil be-ikhtiyar aah labon se nikal gai uryan hararat-e-tap-e-furqat se main raha har bar mere jism ki poshak jal gai kaifiyat-e-bahaar jo yaad aai zer-e-khak dagh-e-junun se apni tabiat bahal gai us ke dahan-e-tang ki tangi na puchhiye ejaz samjhe baat jo munh se nikal gai furqat mein ham-baghal jo hua 'barq' gor se hasrat visal-e-yar ki dil se nikal gai