har taraf lau hai yahan purwaiyon mein chal kahin jal na jae tere nazuk jism ka sandal kahin muntazir hain dhup ka tohfa liye sab raste aao chal kar baith len sae mein pal do pal kahin git kuchh maddham suron mein gaen maujon se kaho ho na jaen subh tak manjhi ke bazu shal kahin itne lambe hain samundar se yahan tak fasle aisa lagta hai ki thak kar ruk gae baadal kahin yun nahin aate kabhi ye aandhiyon ke qafile rah gai hogi darakhton mein koi kopal kahin aaj ki shab mujh ko sona hai hawaon se kaho loriyan gati rahen bajta rahe pipal kahin dekhiye 'kazim' zara ye mausamon ki dhup chhanw hain kahin pyasi zaminen aur hai jal-thal kahin