nahin ki qubul mudakhalat na yasar se na yamin se jo kiya hai achchha bura amal wo kiya hai apne yaqin se mujhe chand taron ki bazm mein na talash kar ki abhi talak mujhe apni mitti se pyar hai mera rabta hai zamin se mujhe ek bar nikal ke ye jo phir bulaya hai khuld mein to phir is ke mani yahi hue hai sharaf makan ko makin se koi shak nahin nae daur mein gaya aasman pe aadmi magar aaj tak nahin kar saka kisi dil ko fath machine se meri qaum-o-mulk ke rahbar zara aql-o-hosh se kaam le wahi log tere qarib hain jinhen bair hai mere din se