har taraf mauj-e-bala ki si rawani dekhi ashk ki god mein majbur kahani dekhi hum badalte hi rahe ishq mein mausam ke magar ghar ki chaukhat pe sada gard purani dekhi dard ke sahn ko dushman nahin jaana hum ne is mein dilkash nai duniya ki nishani dekhi dasht-e-wahshat ki numaish ka hawala de kar shahr-e-dildar ke tewar ki jawani dekhi chand taron ke tale hath mein khanjar thame muskuraati si kahin ek diwani dekhi ek aawaz nai kan mein gunji us dam jab bhi taswir zamane ki suhani dekhi khush-libasi pe hawaon ki na jaana 'jafar' us ke halqe mein pareshan si rani dekhi