har taraf patthar hi patthar darmiyan shishe ka ghar le raha hai shayad apna imtihan shishe ka ghar dur tak har samt hain lakhon dhanak bikhre hue tut kar hai aur bhi kuchh zau-fishan shishe ka ghar kyon ghane pedon ke sayon se bulata hai unhen ban raha hai kyon mazaq-e-rah-rawan shishe ka ghar hai ye behtar pattharon ke daur mein wapas chalen dhire dhire ban gaya sara jahan shishe ka ghar nam zamin par tuti phuti phus ki chhat ke tale kar raha hun yaad dekha tha kahan shishe ka ghar us ki shaffafi hi us ka husn us ki zindagi kaise ban jaega 'tayyab' saeban shishe ka ghar