hum kya jaanen ghazlen kahna ishq-e-butan man bhae nahin

hum kya jaanen ghazlen kahna ishq-e-butan man bhae nahin
umr to sari bit gai aur is nagri mein aae nahin

jo tauhid ke raaz ko samjhe sab se bada wo aalim hai
chahe qalam se nam bhi apna us ko likhna aae nahin

zulm ki rah pe chalne wale tere taj ki khair nahin
ye tarikh ne daras diya hai sirf hamari rae nahin

rukhi sukhi khai lekin harf na aaya izzat par
chadar chhoti si thi apni pair bahut phailae nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close