har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin qafila hai ki rawan hai koi sunta hi nahin ek sada puchhti rahti hai koi zinda hai main kahe jata hun han hai koi sunta hi nahin main jo chup tha hama-tan-gosh thi basti sari ab mere munh mein zaban hai koi sunta hi nahin dekhne wale to is shahr mein yun bhi kam the ab samaat bhi giran hai koi sunta hi nahin ek hangama ki is dil mein bapa rahta tha ab karan-ta-ba-karan hai koi sunta hi nahin kya sitam hai ki mere shahr mein meri aawaz jaise aawaz-e-sagan hai koi sunta hi nahin