mushkil ko samajhne ka wasila nikal aata tum baat to karte koi rasta nikal aata ghar se jo mere sona ya paisa nikal aata kis kis se mera khun ka rishta nikal aata mere liye ai dost bas itna hi bahut tha jaisa tujhe socha tha tu waisa nikal aata main jod to deta teri taswir ke tukde mushkil tha ki wo pahla sa chehra nikal aata bas aur to kya hona tha dukh-dard suna kar yaron ke liye ek tamasha nikal aata aisa hun main is waste chubhta hun nazar mein socho to agar main kahin waisa nikal aata achchha hua parkha nahin 'amabar' ko kisi ne kya jaaniye kya shakhs tha kaisa nikal aata