har taur har tarah ki jo zillat mujhi ko hai duniya mein kya kisi se mohabbat mujhi ko hai khud main ne apne-ap ko bad-nam kar diya sabit hua ki mujh se adawat mujhi ko hai tum bhi to roz dekhte rahte ho aaina sach bolo kya pasand ye surat mujhi ko hai tum ko to kuchh zarur nahin pas-e-dosti han ye zarur hai ki zarurat mujhi ko hai jab lutf tha ki us ko bhi hota mera khayal 'kaifi' ghazab to ye hai mohabbat mujhi ko hai