kis ko fursat kaun padhega chehre jaisa sachcha sach roz adalat mein chalta hai khota sikka jhuta sach unche khwabon ke tajir se koi nahin ye puchhne wala kaun jawanon ke chehron par likh deta hai pila sach hum se kya puchhoge sahab shahr kabhi ka tut chuka sham ki maili chadar par hai tukde tukde phaila sach un aankhon mein mustaqbil ke khwab bhala kya utrenge jin aankhon ne dekh liya hai waqt se pahle nila sach us ke beta beti college usi taraf se jate hain raat ko jis ne beach sadak par phenka hai ek gila sach sab ne hum ko khush-haali ke khwab dikha kar chhod diya galiyon galiyon ghum raha hai dhul mein lipta nanga sach 'badr' tumhaari rah mein aa kar duniya jal bichhaegi jo kahte ho kahte rahna chhod na dena likhna sach