har ujala nai sahar to nahin raat ki umr raat-bhar to nahin aadmi chand gam badh na sake zindagi itni mukhtasar to nahin ek ujala sa sath rahta hai sochta hun teri nazar to nahin ek hangam hai bayaban mein koi aamada-e-safar to nahin waqt be-shak azim hai lekin mujh se tujh se azim-tar to nahin dur kuchh sae se hain sahra mein rah-e-gum-karda ham-safar to nahin aap jo bhi kahen wo sach 'ajmal' aap ab itne mo'atabar to nahin