ram-e-jawedana ghazal hi to hai surud-e-shabana ghazal hi to hai numayan kiya jis ne is daur ko wo hur-e-yagana ghazal hi to hai nihan jis mein sadiyon ki tashkil hai wo zarrin tarana ghazal hi to hai adab ka agar irtiqa hai to ye urus-e-zamana ghazal hi to hai ye sirr-e-hasin sab ko batla 'azim' yam-e-be-karana ghazal hi to hai