har uzw musafir hai nahin kuchh safari aankh hai aakhir-e-shab umr charagh-e-sahari aankh kya karti hai dilkash sukhan ai rashk-e-pari aankh lo sikh gai tarz-e-kalam-e-bashri aankh un aankhon mein sanea ne bhare kut ke moti qismat ye hamari hai ki ashkon se bhari aankh baaten jo karo naz se tum munh ko chhupa kar sunne ke liye kan ho ai rashk-e-pari aankh aaya hai mere dil ka ghubar aansuon ke sath lo ab to hui malik-e-khushki-o-tari aankh ab tak wahi rona hai wahi hasrat-e-didar hum mar gae is par bhi ye kafir na mari aankh tayyar kiya khama-e-mu apne mizha se khinchenge magar naqsha-e-nazuk kamri aankh nargis pe nazar kije dobara ki wo kat jae ho jae nazar-e-sani mein is ki nazari aankh sohbat ka asar sahab-e-binish ko ho kyunkar ainak ho agar sabz na ho jae hari aankh baaton ko zaban misl-e-sukhan munh se nikal jae nazzare ko ho pa-e-nigah se safari aankh tir-e-mizha-e-yar ko mizhgan hi samajhte kis aankh se ladte hi sada balbe jari aankh raftar to dikhla ke za-khud rafta bana do nargis ki tarah hai hama-tan kabk-e-dari aankh daman ki tarah chaak hue aankh ke parde o dast-e-junun se ki gai jama-dari aankh jo ahl-e-nazar mein kabhi khud-bin nahin hoti dekho ki hai is aib-e-numayan se bari aankh kya qahr siwa aayat-e-abru hui nazil dar hai na kare dawa-e-paighambari aankh kashti wo liye nuh ki manind chale aaen tufan bapa kar shab-e-furqat mein ari aankh rahte hain 'wazir' ashk ki ja tukde jigar ke in rozon hui kan-e-aqiq-e-jigri aankh