hamesha dil mein jo apne khayal-e-zulf-o-kakul hai to sine mein nafas har ek mauj-e-bu-e-sumbul hai fasan hai sakht-jaani meri tegh-e-naz-e-qatil ko ki yan jitna hai ranj-e-naza utna wan taghaful hai mujhi ko kuchh tu apne kuche mein aane nahin deta wagarna ai sitam-ijad har gulshan mein bulbul hai teri mina-e-gardan ki sifat ki hai jo ai saqi meri aawaz ko kahte hain sab aawaz-e-qulqul hai wahi dil hai bhara ho nashsha jis mein jam-e-wahdat ka ki hai chhati ka patthar bazm mein shisha jo be mul hai mare jo soz-e-gham se jal ke ho wo nek-nam aakhir charagh-e-murda ko aksar yahi kahte hain sab gul hai diya saman-e-gulshan hum ko hijr-e-rashk-e-gulshan ne pareshani hai sumbul nala bulbul dagh-e-dil gul hai likhi hain wasf yan tak nargis-e-makhmur saqi ki hai khama gardan-e-mina sarir-e-khama qulqul hai badha kar rabt kyunkar kam na munh dikhlae wo mah-ru hua jab mah-e-kaamil din pe din us ko tanazzul hai bahati hai kahin bhi mauj-e-naqsh-e-boriya khas ko na dega na-tawan ko ranj jo sahab tahammul hai kaha us gul ne kul saman-e-gulshan mein bhi ratta hun jo aashiq hai mera nalon se wo ham-chashm-e-bulbul hai khat-o-rukhsar-o-chashm-o-zulf dikhla kar laga kahne ye raihan hai ye gul hai aur ye nargis hai ye sumbul hai khayal-e-zulf-e-jaanan mein jo roun to uge sumbul 'wazir' aansu mera har ek goya tukhm-e-sumbul hai