har waqt mere samne ek jalwagari hai main dekh na paun to meri kam nazari hai main aankh jhapakta hun to manzar nahin rahta ai husn-e-dil-awez ajab mukhtasri hai sochun to yahan kuchh bhi nahin dekhne qabil dekhun to teri duniya badi rang bhari hai dukh dard yahan aaen to wapas nahin jate ye dil koi aaseb-zada bara-dari hai main dasht mein aa kar bhi kahan chain se baitha yan par bhi wahi ishq wahi dar-ba-dari hai pyare mere alfaz ko to bar-e-digar dekh ye sher nahin nauha-e-be-baal-o-pari hai ye faiz mila ishq mein daryuza-gari se sultani mere naqsh-e-kaf-e-pa pe dhari hai 'tahsin' mazamin-e-ghazal aur nikalo ye daur mohabbat ki musibat se bari hai