khun-e-tamanna rang laya ho aisa bhi ho sakta hai tanhai mein wo roya ho aisa bhi ho sakta hai sab ke chehre par chehra tha main kis ko apna kahta koi mujhe bhi dhund raha ho aisa bhi ho sakta hai jis ne mera ghar lutne mein choron ki aguwai ki wo mera hi ham-saya ho aisa bhi ho sakta hai mahfil hai angusht-ba-dandan ahl-e-nazar par riqqat tari sher karishma kar hi gaya ho aisa bhi ho sakta hai bhid mein us ko main ne dekha dekh liya tha us ne bhi ya phir nazron ka dhoka ho aisa bhi ho sakta hai daulat shohrat aani jaani phir is par itrana kya pani par ye nam likha ho aisa bhi ho sakta hai apni kahani jaan ke yaro nahaq aankh bhigote ho us ka gham bhi tum jaisa ho aisa bhi ho sakta hai waqt ki dhup kadi hai 'ghazi' danaon ki basti mein barf sa chehra sulag raha ho aisa bhi ho sakta hai