har-waqt ulajhta hai ye dil zulf-e-dota mein samjhata hun kam-bakht na pad ja ke bala mein dekho na kabhi khu-e-sitam apni badalna milta hai maza hum ko bahut jaur-o-jafa mein kis lutf se ayyam guzarte hain hamare din nala-o-fariyaad mein shab aah-o-baka mein mitti hui barbaad tere ishq mein aisi kuchh khak ke zarre nazar aate hain hawa mein kyun chal diye mai-khane se ai shaikh thaharna poshida nazar aata hai kuchh aaj aba mein kahti hai ye tauba ki gunahgar main behtar ai dil kabhi bhule se bhi padna na riya mein kar dun shab-e-furqat ka bayan hashr mein lekin darta hun tawalat na pade roz-e-jaza mein marna jise kahte hain wo hai zist ka aaghaz milti hai baqa sab ko isi rah-e-fana mein kis ke liye allah ne jannat ko banaya bande to yahan rahte hain har waqt khata mein maqbul hui hashr mein gar meri khajalat mil jaegi jannat bhi gunahon ki saza mein waiz kahe kuchh bhi hamein malum hai yarab sau khuld hain poshida teri ek raza mein hil jati hai duniya meri fariyaad se 'hafiz' tasir ghazab ki hai meri aah-e-rasa mein