kuchh to mushkil mein kaam aate hain kuchh faqat mushkilen badhate hain apne ehsan jo jatate hain apna hi martaba ghatate hain sabr se intizar karna sikh achchhe din aate aate aate hain faslon se gurez kya karna fasle qurbaten badhate hain kuchh to bar-e-nazar bhi hote hain sare manzar kahan lubhate hain wo jo rahte hain be-hawas aksar hadson ko wahi bulate hain koi ustad kya sikhaega jo sabaq sanehe sikhate hain jab wo milne se kuchh gurez kare wahime dil mein kasmasate hain sari yaaden to khush-gawar nahin talkh lamhe bhi yaad aate hain dil mein hota hai wajd ka aalam tan wo dal se jab lagate hain yaad ek hir ki satati hai bansuri jab kabhi bajate hain naghme gate the jo masarrat ke aaj kal marsiye sunate hain baat ki baat hi ise kahiye qahqahe dard-o-gham mitate hain kam hi ab rah gae hain jo 'rashid' dard ki mahfilen sajate hain