har zaban mein har zaban par ek hi afsana hai kuchh to hai jo sara aalam aap ka diwana hai mubtala wo khud bhi hai jo zahiran begana hai jis ka gham ahl-e-nazar ki ishrat-e-mastana hai eatibar-e-ma-siwa is raaz se begana hai ranj-e-furqat iztirab-e-husn ka harjaana hai bais-e-tauq-e-asiri dam hai ya dana hai us se puchha chahiye jo hosh ka diwana hai qais duniya ki nazar mein aaj bhi diwana hai naz-bardari ka kitna mukhtasar afsana hai aastan-bosi ki lazzat aswad-e-kaba se puchh sang samjha hai jise tu aariz-e-jaanana hai aap hi ki yaad se dil shad hai aabaad hai aap jis dil mein nahin wo dil nahin virana hai saqiya is bazm-e-fani mein wahi hai khush-nasib ru-ba-ru jis ke subu hai hath mein paimana hai