ye kis ne jalwa dikha ke aankhon mein kar liya hai maqam apna ye kis ko apna bana ke barham kiya hai dil ne nizam apna ye kis ki baaton mein aa ke hum ne kiya hai badnam nam apna ki aaj tak aagahi se aajiz hai jazba-e-na-tamam apna agar tamanna-e-be-khudi ki zaban se sun len payam apna to aariz-e-husn se ulat den naqab wo la-kalam apna nigah-e-saqi se kah raha hun saza tawajjoh ki sah raha hun sharab-e-rahmat ke daur mein bhi karam se khali hai jam apna jahan mein hain khush-nasib aksar hai jin pe lutf-e-nazar sarasar agar muqabil hun kya ajab hai mujhe bhi kar len ghulam apna nishana-e-husn ho raha hai firaq mein umr kho raha hai nazar se fursat mile to dil bhi kare koi intizam apna hai manzar-e-bazm 'shad' o rahat ba-qalb-e-masrur ain neamat mazaq-e-sher-o-sukhan hai ahl-e-adab mein hai ehtiram apna