har zarra-e-ummid se khushbu nikal aae tanhai ke sahra mein agar tu nikal aae kaisa lage is par agar mausam-e-gul mein titli ka badan odh ke jugnu nikal aae phir din teri yaadon ki munderon pe guzara phir sham hui aankh mein aansu nikal aae bechain kiye rahta hai dhadka yahi ji ko tujh mein na zamane ki koi khu nikal aae phir dil ne kiya tark-e-talluq ka irada phir tujh se mulaqat ke pahlu nikal aae