bhid mein jab tak rahte hain joshile hain alag alag hum log bahut sharmile hain khwab ke badle khun chukana padta hai aankhon ke ye khel bade kharchile hain binai bhi kya kya dhoke deti hai dur se dekho sare dariya nile hain sahra mein bhi gaun ka dariya sath raha dekho mere paon abhi tak gile hain